Total Pageviews

Wednesday, July 8, 2009

कुछ हर्फ जिंदगी की किताब से


1 comment:

  1. kya bat hai!
    is rekha se to main bahut pahle se hi milna chahata tha. kayi bar kaha bhi. kabhi khul kar kabhi sanketon men. par wah rekha har bar kuch ummeed jaga kar katra jati thi. abhi bhi poori tarah khuli nahin hai. main janta tha ki jis rekha se main milna chahata tha wo mardon ke taiboo men nahin jeetee. par aaj jan pada ki wo bhi aur ye bhi donon rekha mardon ke taiboo men jeeti hain. ye kuch acchi bat nahin huyi. dekhana hai ki yah rekha kab poori tarah khulti hai aur taiboo todati huyi likhati hai. jaise koyi badhiyi nadi ho shayad ! phir ek gane ka sahara loon ki taal mile nadi ke jal men, nadi mile sagar men, sagar mile kaun se jal men koyi jane na, oh re taal mile.......
    baharhal yah rekha aur khilegi aisa vishwas hai. abhi to do hi hisse huye hain halan ki bahut chote chote hain. to bhi ummeed pe duniya kayam hai. .. ham bhi. waise accha to ye hota ki rekha apne bachpan se khulti-milti, padhati, batiyati badi hoti jati, sangeet vagairah sunti naukari karne aati aur thappad wappad marti huyi train men aati to zyada accha hota. khair yah daur bhi accha wo daur bhi accha tha. khair intzar to rahega agle bhag ka.

    dayanand pandey

    ReplyDelete